phir lauT ke is bazm mein aane ke nahin hain
phir lauT ke is bazm meñ aane ke nahīñ haiñ
ham log kisī aur zamāne ke nahīñ haiñ
ik duur kinārā hai vahīñ jā ke rukeñge
jitne bhī yahāñ ghar haiñ Thikāne ke nahīñ haiñ
yuuñ jāgte rahnā hai to āñkhoñ meñ hamārī
jo ḳhvāb chhupe haiñ nazar aane ke nahīñ haiñ
dil hai to ye daulat kabhī ma.adūm na hogī
ye dard kisī aur ḳhazāne ke nahīñ haiñ
kal raat ḳhamoshī ne ajab rañg dikhā.e
ye sher agar haiñ to sunāne ke nahīñ haiñ
har samt ujālā bhī hai sūraj bhī hai lekin
ham apne charāġhoñ ko bujhāne ke nahīñ haiñ
duniyā ne bhī kuchh ham ko bahut gher liyā hai
kuchh ham bhī use chhoḌ ke jaane ke nahīñ haiñ
phir lauT ke is bazm mein aane ke nahin hain
hum log kisi aur zamane ke nahin hain
ek dur kinara hai wahin ja ke rukenge
jitne bhi yahan ghar hain Thikane ke nahin hain
yun jagte rahna hai to aankhon mein hamari
jo KHwab chhupe hain nazar aane ke nahin hain
dil hai to ye daulat kabhi madum na hogi
ye dard kisi aur KHazane ke nahin hain
kal raat KHamoshi ne ajab rang dikhae
ye sher agar hain to sunane ke nahin hain
har samt ujala bhi hai suraj bhi hai lekin
hum apne charaghon ko bujhane ke nahin hain
duniya ne bhi kuchh hum ko bahut gher liya hai
kuchh hum bhi use chhoD ke jaane ke nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.