Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir mausam-e-yaKH-basta badalne ki KHabar de

Kahkashan Tabassum

phir mausam-e-yaKH-basta badalne ki KHabar de

Kahkashan Tabassum

MORE BYKahkashan Tabassum

    phir mausam-e-yaḳh-basta badalne ḳhabar de

    rag rag meñ jamī barf pighalne ḳhabar de

    dil ke charāġhoñ ko lahū aur atā kar

    raah meñ phir chāñd nikalne ḳhabar de

    mausam-e-ḳhush-rañg koī bhej zamīñ par

    gardish-e-aflāk badalne ḳhabar de

    bas uḌte bagūle haiñ sarāboñ ke safar meñ

    eḌī koī chashme ke ubalne ḳhabar de

    dar band kiye log gharoñ meñ haiñ muqayyad

    āseb-zada raat ke Dhalne ḳhabar de

    bhīgī hui lakḌī huuñ dhuāñ detī huuñ pahroñ

    ab mujh ko mirī aag meñ jalne ḳhabar de

    aḳhbār bhī dahshat tarāshā hai 'tabassum'

    har sub.h faqat dil ke dahalne ḳhabar de

    phir mausam-e-yaKH-basta badalne ki KHabar de

    rag rag mein jami barf pighalne ki KHabar de

    ya dil ke charaghon ko lahu aur ata kar

    ya rah mein phir chand nikalne ki KHabar de

    ya mausam-e-KHush-rang koi bhej zamin par

    ya gardish-e-aflak badalne ki KHabar de

    bas uDte bagule hain sarabon ke safar mein

    eDi koi chashme ke ubalne ki KHabar de

    dar band kiye log gharon mein hain muqayyad

    aaseb-zada raat ke Dhalne ki KHabar de

    bhigi hui lakDi hun dhuan deti hun pahron

    ab mujh ko meri aag mein jalne ki KHabar de

    aKHbar bhi dahshat ka tarasha hai 'tabassum'

    har subh faqat dil ke dahalne ki KHabar de

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now