phir mile hum un se phir yari baDhi
phir mile ham un se phir yaarī baḌhī
aur uljhā dil giraftārī baḌhī
mehrbānī chārasāzoñ kī baḌhī
jab baḌhā darmāñ to bīmārī baḌhī
hijr kī ghaḌiyāñ kaThin hotī ga.iiñ
din ke naale raat kī zaarī baḌhī
phir tasavvur meñ kisī ke niiñd uḌī
phir vahī rātoñ kī bedārī baḌhī
saḳhtiyāñ rāh-e-mohabbat kī na pūchh
har qadam ik taaza dushvārī baḌhī
ḳhair saaqī kī salāmat mai-kada
jis qadar pī utnī hushyārī baḌhī
daur-daure haiñ 'mubārak' jaam ke
intihā kī apnī mai-ḳhvārī baḌhī
phir mile hum un se phir yari baDhi
aur uljha dil giraftari baDhi
mehrbani chaarasazon ki baDhi
jab baDha darman to bimari baDhi
hijr ki ghaDiyan kaThin hoti gain
din ke nale raat ki zari baDhi
phir tasawwur mein kisi ke nind uDi
phir wahi raaton ki bedari baDhi
saKHtiyan rah-e-mohabbat ki na puchh
har qadam ek taza dushwari baDhi
KHair saqi ki salamat mai-kada
jis qadar pi utni hushyari baDhi
daur-daure hain 'mubarak' jam ke
intiha ki apni mai-KHwari baDhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.