phir na dil se kabhi nikala gaya
phir na dil se kabhī nikālā gayā
jo mirī zindagī meñ aaya gayā
muddatoñ baad vo milā thā mujhe
kyoñ mujhe niiñd se jagāyā gayā
rang us kā utar gayā saarā
jab use aa.ina dikhāyā gayā
baat se phir palaT ga.ī laḌkī
phir koī laḌkā aaj maarā gayā
merī to jaan hī nikal ga.ī jab
dost kah kar mujhe pukārā gayā
phir na dil se kabhi nikala gaya
jo meri zindagi mein aaya gaya
muddaton baad wo mila tha mujhe
kyon mujhe nind se jagaya gaya
rang us ka utar gaya sara
jab use aaina dikhaya gaya
baat se phir palaT gai laDki
phir koi laDka aaj mara gaya
meri to jaan hi nikal gai jab
dost kah kar mujhe pukara gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.