Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir sar kisi ke dar pe jhukae hue hain hum

Josh Malihabadi

phir sar kisi ke dar pe jhukae hue hain hum

Josh Malihabadi

MORE BYJosh Malihabadi

    phir sar kisī ke dar pe jhukā.e hue haiñ ham

    parde phir āsmāñ ke uThā.e hue haiñ ham

    chhā.ī huī hai ishq phir dil pe be-ḳhudī

    phir zindagī ko hosh meñ laa.e hue haiñ ham

    jis har ek juzv hai iksīr-e-zindagī

    phir ḳhaak meñ vo jins milā.e hue haiñ ham

    haañ kaun pūchhtā hai ḳhushī nahufta raaz

    phir ġham baar dil pe uThā.e hue haiñ ham

    haañ kaun dars-e-ishq-e-junūñ hai ḳhvāst-gār

    aa.e ki har sabaq ko bhulā.e hue haiñ ham

    aa.e jise ho jāda-e-rif.at aarzū

    phir sar kisī ke dar pe jhukā.e hue haiñ ham

    bai.at ko aa.e jis ko ho tahqīq ḳhayāl

    kaun-o-makāñ ke raaz ko paa.e hue haiñ ham

    hastī ke dām-e-saḳht se uktā gayā hai kaun

    kah do ki phir giraft meñ aa.e hue haiñ ham

    haañ kis ke pā-e-dil meñ hai zanjīr-e-āb-o-gil

    kah do ki dām-e-zulf meñ aa.e hue haiñ ham

    haañ kis ko justujū hai nasīm-e-farāġh

    āsūdgī ko aag lagā.e hue haiñ ham

    haañ kis ko sair-e-arz-o-samā hai ishtiyāq

    dhūnī phir us galī meñ ramā.e hue haiñ ham

    jis par nisār kaun-o-makāñ haqīqateñ

    phir 'josh' us fareb meñ aa.e hue haiñ ham

    phir sar kisi ke dar pe jhukae hue hain hum

    parde phir aasman ke uThae hue hain hum

    chhai hui hai ishq ki phir dil pe be-KHudi

    phir zindagi ko hosh mein lae hue hain hum

    jis ka har ek juzw hai iksir-e-zindagi

    phir KHak mein wo jins milae hue hain hum

    han kaun puchhta hai KHushi ka nahufta raaz

    phir gham ka bar dil pe uThae hue hain hum

    han kaun dars-e-ishq-e-junun ka hai KHwast-gar

    aae ki har sabaq ko bhulae hue hain hum

    aae jise ho jada-e-rifat ki aarzu

    phir sar kisi ke dar pe jhukae hue hain hum

    baiat ko aae jis ko ho tahqiq ka KHayal

    kaun-o-makan ke raaz ko pae hue hain hum

    hasti ke dam-e-saKHt se ukta gaya hai kaun

    kah do ki phir giraft mein aae hue hain hum

    han kis ke pa-e-dil mein hai zanjir-e-ab-o-gil

    kah do ki dam-e-zulf mein aae hue hain hum

    han kis ko justuju hai nasim-e-faragh ki

    aasudgi ko aag lagae hue hain hum

    han kis ko sair-e-arz-o-sama ka hai ishtiyaq

    dhuni phir us gali mein ramae hue hain hum

    jis par nisar kaun-o-makan ki haqiqaten

    phir 'josh' us fareb mein aae hue hain hum

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now