phir se badle yahan tahzib ne tewar apne
phir se badle yahāñ tahzīb ne tevar apne
noch kar pheñk diye jism se zevar apne
us ne shab-ḳhūn jo maarā to bachā kuchh bhī nahīñ
ham uḌāte hī rahe chhat pe kabūtar apne
aise zindāñ meñ haiñ jis meñ ki na dīvār na dar
us ne ye soch ke ḳhud kaaT liye par apne
sar-phirā mujh sā koī mere muqābil bhī to ho
har kisī par nahīñ khulne ke haiñ jauhar apne
āsmāñ chhūne kī ḳhvāhish ne hī baḳhshī parvāz
varna hālāt ne to kaaT diye par apne
kis parī-ḳhāna-e-gul-gasht meñ pahuñchā huuñ ki ab
aa.ine meñ bhī Thaharte nahīñ paikar apne
lucknow meñ abhī tahzīb ke tevar haiñ vahī
is bhikāran ne to badle nahīñ zevar apne
phir se badle yahan tahzib ne tewar apne
noch kar phenk diye jism se zewar apne
us ne shab-KHun jo mara to bacha kuchh bhi nahin
hum uDate hi rahe chhat pe kabutar apne
aise zindan mein hain jis mein ki na diwar na dar
us ne ye soch ke KHud kaT liye par apne
sar-phira mujh sa koi mere muqabil bhi to ho
har kisi par nahin khulne ke hain jauhar apne
aasman chhune ki KHwahish ne hi baKHshi parwaz
warna haalat ne to kaT diye par apne
kis pari-KHana-e-gul-gasht mein pahuncha hun ki ab
aaine mein bhi Thaharte nahin paikar apne
lucknow mein abhi tahzib ke tewar hain wahi
is bhikaran ne to badle nahin zewar apne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.