phir se lahu lahu dar-o-diwar dekh le
phir se lahū lahū dar-o-dīvār dekh le
jo bhī dikhā.e vaqt vo nā-chār dekh le
apne gale pe chaltī chhurī kā bhī dhyān rakh
vo tez hai yā kund zarā dhaar dekh le
phir chhūTne se pahle hī apne vajūd ko
maujūd bachpanoñ meñ giraftār dekh le
ghustā chalā hai peT meñ har aadmī kā sar
tujh se bhī ho sakegā na inkār dekh le
yuuñ roz roz karte adā-kāriyāñ tirī
sūrat badal ga.ī hai mire yaar dekh le
phir se lahu lahu dar-o-diwar dekh le
jo bhi dikhae waqt wo na-chaar dekh le
apne gale pe chalti chhuri ka bhi dhyan rakh
wo tez hai ya kund zara dhaar dekh le
phir chhuTne se pahle hi apne wajud ko
maujud bachpanon mein giraftar dekh le
ghusta chala hai peT mein har aadmi ka sar
tujh se bhi ho sakega na inkar dekh le
yun roz roz karte ada-kariyan teri
surat badal gai hai mere yar dekh le
- Book : kushaad (Pg. 68)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.