phir se soe hue jazbaat ne shiddat pakDi
phir se so.e hue jazbāt ne shiddat pakḌī
tujh ko dekhā to mire ishq ne vahshat pakḌī
tujh se kahtā thā na sanjīda rahā kar itnā
muskurāyā hai to ruḳhsār ne zīnat pakḌī
kab se ḳhāmosh paḌā thā ye mire siine meñ
jab tirā naam liyā qalb ne harakat pakḌī
jaane allāh ne kis tarah banāyā tujh ko
raushnī chāñd se lī phuul se rangat pakḌī
tū hī rakhtā hai har ik merī zarūrat kā ḳhayāl
jab badan sard huā tujh se harārat pakḌī
ḳhatm hotā hī nahīñ tujh ko samajhne kā amal
tū ḳhafā jab bhī huā maiñ ne nasīhat pakḌī
tujh se pahle thī kahāñ dād-e-suḳhan kī bārish
tujh pe likkhā hai to ash.ār ne izzat pakḌī
phir se soe hue jazbaat ne shiddat pakDi
tujh ko dekha to mere ishq ne wahshat pakDi
tujh se kahta tha na sanjida raha kar itna
muskuraya hai to ruKHsar ne zinat pakDi
kab se KHamosh paDa tha ye mere sine mein
jab tera nam liya qalb ne harakat pakDi
jaane allah ne kis tarah banaya tujh ko
raushni chand se li phul se rangat pakDi
tu hi rakhta hai har ek meri zarurat ka KHayal
jab badan sard hua tujh se hararat pakDi
KHatm hota hi nahin tujh ko samajhne ka amal
tu KHafa jab bhi hua main ne nasihat pakDi
tujh se pahle thi kahan dad-e-suKHan ki barish
tujh pe likkha hai to ashaar ne izzat pakDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.