phir taDap ke qarar likhna hai
phir taḌap ke qarār likhnā hai
ishq likhnā hai pyaar likhnā hai
zindagī kā mutālba dekho
zindagī ko bhī yaar likhnā hai
zahr kā hai asar fazāoñ meñ
aur ham ko bahār likhnā hai
le ke sar aa ga.e haiñ maqtal meñ
dostoñ kī ye haar likhnā hai
us ne kāñToñ ko phuul likh Daalā
ham ko phūloñ ko ḳhaar likhnā hai
'saif' chal chal ke thak ga.e haiñ ham
ab sukūñ aur qarār likhnā hai
phir taDap ke qarar likhna hai
ishq likhna hai pyar likhna hai
zindagi ka mutalba dekho
zindagi ko bhi yar likhna hai
zahr ka hai asar fazaon mein
aur hum ko bahaar likhna hai
le ke sar aa gae hain maqtal mein
doston ki ye haar likhna hai
us ne kanTon ko phul likh Dala
hum ko phulon ko KHar likhna hai
'saif' chal chal ke thak gae hain hum
ab sukun aur qarar likhna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.