phir tera intizar dekhenge
phir tirā intizār dekheñge
dil ko phir be-qarār dekheñge
phuul khilne se pahle aa jaao
aaj mil kar bahār dekheñge
kaise chupke se lauT aatā hai
mausamoñ par ḳhumār dekheñge
tujh ko rakh kar nigāh meñ apnī
aaj apnā siñgār dekheñge
ruuTh jā.eñge maan jā.eñge
naaz kar ke hazār dekheñge
chāhatoñ ke kavach pahan leñge
phir zamāne ke vaar dekheñge
guftugū se ḳhalal na aa jaa.e
aaj bas tujh ko yaar dekheñge
phir tera intizar dekhenge
dil ko phir be-qarar dekhenge
phul khilne se pahle aa jao
aaj mil kar bahaar dekhenge
kaise chupke se lauT aata hai
mausamon par KHumar dekhenge
tujh ko rakh kar nigah mein apni
aaj apna singar dekhenge
ruTh jaenge man jaenge
naz kar ke hazar dekhenge
chahaton ke kawach pahan lenge
phir zamane ke war dekhenge
guftugu se KHalal na aa jae
aaj bas tujh ko yar dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.