phir usko dekhna ji-bhar ke chandni ke sang
phir us ko dekhnā jī-bhar ke chāñdnī ke sang
phir us ke aks pe ik chāñd kā gumāñ honā
phir us kī jhiil sī āñkhoñ meñ Dūbnā merā
aur us ke saath hī barsāt kā samāñ honā
ik ek kar ke sajānā gulāb zulfoñ meñ
phir us ke chehre pe surḳhī sī ik ayaañ honā
haiñ dil meñ ḳhvāhisheñ itnī ki kyā kaheñ is se
nahīñ hai raas use merā rāzdāñ honā
ye umr biit ga.ī hai zamīñ pe rahte hue
kahāñ thā apne muqaddar meñ āsmāñ honā
phir us ko dekhna ji-bhar ke chandni ke sang
phir us ke aks pe ek chand ka guman hona
phir us ki jhil si aankhon mein Dubna mera
aur us ke sath hi barsat ka saman hona
ek ek kar ke sajaana gulab zulfon mein
phir us ke chehre pe surKHi si ek ayan hona
hain dil mein KHwahishen itni ki kya kahen is se
nahin hai ras use mera raazdan hona
ye umr bit gai hai zamin pe rahte hue
kahan tha apne muqaddar mein aasman hona
- Book : Khawab Suhane yaad aate hain (Pg. 146)
- Author : Hasan Rizvi
- Publication : Khazina ilm-o-adab al-karim market urdu bazar, Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.