phir use KHwab mein dekha hai KHuda KHair kare
phir use ḳhvāb meñ dekhā hai ḳhudā ḳhair kare
vo mire zehn pe chhāyā hai ḳhudā ḳhair kare
us ne phir pyaar jatāyā hai ḳhudā ḳhair kare
koī to nek irāda hai ḳhudā ḳhair kare
har ghaḌī ek dhamākā hai ḳhudā ḳhair kare
har nafas ḳhuun kā pyāsā hai ḳhudā ḳhair kare
ye kisī kī bhī huī hai to batā.e koī
zindagī ek chhalāvā hai ḳhudā ḳhair kare
masnūī chehrā lagā.e hue hai har koī
ab dikhāvā hī dikhāvā hai ḳhudā ḳhair kare
ġhāliban zinda jalāyā gayā hogā koī
chauk meñ kaisā dhuāñ sā hai ḳhudā ḳhair kare
phir koī gul vo khilā.egā yaqīnan yaaro
muskurātā huā aayā hai ḳhudā ḳhair kare
ham ne jis shaḳhs pe ye ziist nichhāvar kar dī
ab vahī āñkheñ dikhātā hai ḳhudā ḳhair kare
shikva sanjī kā zamāna nahīñ ye ai naama
vaqt nāzuk hai buḌhāpā hai ḳhudā ḳhair kare
phir use KHwab mein dekha hai KHuda KHair kare
wo mere zehn pe chhaya hai KHuda KHair kare
us ne phir pyar jataya hai KHuda KHair kare
koi to nek irada hai KHuda KHair kare
har ghaDi ek dhamaka hai KHuda KHair kare
har nafas KHun ka pyasa hai KHuda KHair kare
ye kisi ki bhi hui hai to batae koi
zindagi ek chhalawa hai KHuda KHair kare
masnui chehra lagae hue hai har koi
ab dikhawa hi dikhawa hai KHuda KHair kare
ghaaliban zinda jalaya gaya hoga koi
chauk mein kaisa dhuan sa hai KHuda KHair kare
phir koi gul wo khilaega yaqinan yaro
muskuraata hua aaya hai KHuda KHair kare
hum ne jis shaKHs pe ye zist nichhawar kar di
ab wahi aankhen dikhata hai KHuda KHair kare
shikwa sanji ka zamana nahin ye ai nama
waqt nazuk hai buDhapa hai KHuda KHair kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.