phir usi shahr ka fasana chheD
phir usī shahr kā fasāna chheḌ
mutriba tarz-e-āshiqāna chheḌ
sāz-e-dil se uThā thā jo ik baar
phir vahī raag vālihāna chheḌ
ghar hai tārīk yūrish-e-ġham se
aaj ik ātishīñ tarāna chheḌ
phir jahāñ dilkashī se hai mahrūm
zulf-e-hastī ko misl-e-shāna chheḌ
bazm ḳhauf-e-fanā se hai be-dam
kuchh ba-andāz-e-jāvedāna chheḌ
aaj har shai se bad-gumāñ haiñ ham
mat hameñ ai ġham-e-zamāna chheḌ
ai ġham-e-yār ham haiñ ḳhākistar
aur mat ai rafīq-e-ḳhāna chheḌ
'arsh' thī har sukūñ kī jo rahzan
us qayāmat kā phir fasāna chheḌ
phir usi shahr ka fasana chheD
mutriba tarz-e-ashiqana chheD
saz-e-dil se uTha tha jo ek bar
phir wahi rag walihana chheD
ghar hai tarik yurish-e-gham se
aaj ek aatishin tarana chheD
phir jahan dilkashi se hai mahrum
zulf-e-hasti ko misl-e-shana chheD
bazm KHauf-e-fana se hai be-dam
kuchh ba-andaz-e-jawedana chheD
aaj har shai se bad-guman hain hum
mat hamein ai gham-e-zamana chheD
ai gham-e-yar hum hain KHakistar
aur mat ai rafiq-e-KHana chheD
'arsh' thi har sukun ki jo rahzan
us qayamat ka phir fasana chheD
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.