phir uThi chashm-e-fusun-saz KHuda KHair kare
phir uThī chashm-e-fusūñ-sāz ḳhudā ḳhair kare
dil hai phir ġharq-e-mai-e-nāz ḳhudā ḳhair kare
barq chamkī hai ba-sad-nāz ḳhudā ḳhair kare
phir nasheman kā hai āġhāz ḳhudā ḳhair kare
dil ke bas meñ thā chhupāyā bahut us ne lekin
dast-e-mizhgāñ meñ hai ab raaz ḳhudā ḳhair kare
koī aatā hai pas-e-qāfila-e-fasl-e-bahār
phir hai zanjīr kī āvāz ḳhudā ḳhair kare
barq kī zad meñ gulistāñ to nahīñ hai lekin
gul se hai aag kī parvāz ḳhudā ḳhair kare
dil kī dhaḌkan the jo kal aaj vahī dīvāne
ho ga.e duur kī āvāz ḳhudā ḳhair kare
jānte haiñ ki badaltī nahīñ taqdīr 'nasīb'
vaqt aur mahram-e-ham-rāz ḳhudā ḳhair kare
phir uThi chashm-e-fusun-saz KHuda KHair kare
dil hai phir gharq-e-mai-e-naz KHuda KHair kare
barq chamki hai ba-sad-naz KHuda KHair kare
phir nasheman ka hai aaghaz KHuda KHair kare
dil ke bas mein tha chhupaya bahut us ne lekin
dast-e-mizhgan mein hai ab raaz KHuda KHair kare
koi aata hai pas-e-qafila-e-fasl-e-bahaar
phir hai zanjir ki aawaz KHuda KHair kare
barq ki zad mein gulistan to nahin hai lekin
gul se hai aag ki parwaz KHuda KHair kare
dil ki dhaDkan the jo kal aaj wahi diwane
ho gae dur ki aawaz KHuda KHair kare
jaante hain ki badalti nahin taqdir 'nasib'
waqt aur mahram-e-ham-raaz KHuda KHair kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.