phir wahi be-dili phir wahi mazarat
phir vahī be-dilī phir vahī ma.azarat
bas bahut ho chukā zindagī ma.azarat
ḳhud-kalāmī se bhī ruuTh jaatī hai tū
ab na bolūñgā ai ḳhāmushī ma.azarat
dhuup Dhal bhī chukī saa.e uTh bhī chuke
ab mire yaar kis baat kī ma.azarat
daad be-dād meñ dil nahīñ lag rahā
dosto shukriya shā.erī ma.azarat
be-ḳhudī meñ ḳhudā.ī kā da.avā kiyā
ai ḳhudā dar-guzar ai ḳhudī ma.azarat
tujh se guzrī huī zindagī maañg lī
rabb-e-imroz-o-fardā-o-dī ma.azarat
ik nazar us ne dekhā hai 'āsim' chalo
duur hī se sahī ho chukī ma.azarat
phir wahi be-dili phir wahi mazarat
bas bahut ho chuka zindagi mazarat
KHud-kalami se bhi ruTh jati hai tu
ab na bolunga ai KHamushi mazarat
dhup Dhal bhi chuki sae uTh bhi chuke
ab mere yar kis baat ki mazarat
dad be-dad mein dil nahin lag raha
dosto shukriya shaeri mazarat
be-KHudi mein KHudai ka dawa kiya
ai KHuda dar-guzar ai KHudi mazarat
tujh se guzri hui zindagi mang li
rabb-e-imroz-o-farda-o-di mazarat
ek nazar us ne dekha hai 'asim' chalo
dur hi se sahi ho chuki mazarat
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 617)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.