phir wahi chandni raat ho
phir vahī chāñdnī raat ho
tere jalvoñ kī barsāt ho
sahl ho zindagī kā safar
haath meñ gar terā haath ho
dostoñ ko baḌī fikr hai
kis tarah ab mujhe maat ho
ḳhud se bole zamāna huā
aire-ġhaire se kyā baat ho
kahiye khā kar ḳhudā kī qasam
aap se kab mulāqāt ho
ai 'majāz' aa.ine kī tarah
saaf apnī har ik baat ho
phir wahi chandni raat ho
tere jalwon ki barsat ho
sahl ho zindagi ka safar
hath mein gar tera hath ho
doston ko baDi fikr hai
kis tarah ab mujhe mat ho
KHud se bole zamana hua
aire-ghaire se kya baat ho
kahiye kha kar KHuda ki qasam
aap se kab mulaqat ho
ai 'majaz' aaine ki tarah
saf apni har ek baat ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.