phir wahi gham hain wahi tanz zamane wale
phir vahī ġham haiñ vahī tanz zamāne vaale
baaz kab aate haiñ ye dil ko dukhāne vaale
maiñ terī yaad meñ kab se udaas baiThī huuñ
tū kahāñ hai mujhe har roz hañsāne vaale
chhoḌne vaale ko darkār hai ik ġhalatī kī
aur nibhāte haiñ sadā saath nibhāne vaale
umr-bhar chhāñv meñ apnī jinheñ sīñchā tū ne
haiñ vahī log tujhe aag lagāne vaale
ik mulāqāt meñ hī ham ko samajh ye aaya
log chhoTe haiñ bahut ūñche gharāne vaale
phir wahi gham hain wahi tanz zamane wale
baz kab aate hain ye dil ko dukhane wale
main teri yaad mein kab se udas baiThi hun
tu kahan hai mujhe har roz hansane wale
chhoDne wale ko darkar hai ek ghalati ki
aur nibhate hain sada sath nibhane wale
umr-bhar chhanw mein apni jinhen sincha tu ne
hain wahi log tujhe aag lagane wale
ek mulaqat mein hi hum ko samajh ye aaya
log chhoTe hain bahut unche gharane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.