Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir wahi mehrban hua aai

Khalid Ahmad

phir wahi mehrban hua aai

Khalid Ahmad

MORE BYKhalid Ahmad

    phir vahī mehrbāñ huā aa.ī

    ai mirī be-charāġh tanhā.ī

    bain karne lageñ na sannāTe

    pāsdārān-e-gosh-o-goyā.ī

    kis ne taufīq se sivā paayā

    dil ne ġham aañkh ne namī paa.ī

    ishq ajr hai dil-e-rusvā

    pārsā.ī azāb-e-dānā.ī

    ye usī shahr ke manāre haiñ

    ai tahayyur-sarisht bīnā.ī!

    chaar jānib vahī dhundalke haiñ

    gumraho! phir vahī galī aa.ī

    nā-sapāsoñ meñ bā-vaqār na ban

    ai mirī be-viqār goyā.ī

    phir wahi mehrban hua aai

    ai meri be-charagh tanhai

    bain karne lagen na sannaTe

    pasdaran-e-gosh-o-goyai

    kis ne taufiq se siwa paya

    dil ne gham aankh ne nami pai

    ishq ka ajr hai dil-e-ruswa

    parsai azab-e-danai

    ye usi shahr ke manare hain

    ai tahayyur-sarisht binai!

    chaar jaanib wahi dhundalke hain

    gumraho! phir wahi gali aai

    na-sapason mein ba-waqar na ban

    ai meri be-wiqar goyai

    Source :
    • Book : funoon-volume-21 (Pg. 267)
    • Author : ahmad nadiim qaasmii
    • Publication : 4-menglod road lahore (1984)
    • Edition : 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now