phir wahi raat phir wahi aawaz
phir vahī raat phir vahī āvāz
mere dil kī thakī huī āvāz
kahīñ bāġh-e-naḳhust se aa.ī
kisī koyal kī dukh-bharī āvāz
abhī chhāyā nahīñ hai sannāTā
aa rahī hai koī koī āvāz
phaḌphaḌāhaT kisī parinde kī
kisī koñpal kī phūTtī āvāz
abhī mahfūz hai tirā chehra
abhī bhūlī nahīñ tirī āvāz
mere bistar pe aa ke leT ga.ī
raushnī kī lakīr sī āvāz
muñh añdhere jagā ke chhoḌ ga.ī
ek sub.h-e-jamāl kī āvāz
din se fursat kabhī mile to suno
shaam kā saaz raat kī āvāz
gūñjtā hai abhī tarāna-e-shauq
vahī āhañg hai vahī āvāz
TeḌhe-meḌhe muḌe-tuḌe mukhḌe
TūTī-phūTī kaTī-phaTī āvāz
baḌe dukh jhiil kar kamā.ī hai
jo bhī hai ye burī-bhalī āvāz
phir wahi raat phir wahi aawaz
mere dil ki thaki hui aawaz
kahin bagh-e-naKHust se aai
kisi koyal ki dukh-bhari aawaz
abhi chhaya nahin hai sannaTa
aa rahi hai koi koi aawaz
phaDphaDahaT kisi parinde ki
kisi konpal ki phuTti aawaz
abhi mahfuz hai tera chehra
abhi bhuli nahin teri aawaz
mere bistar pe aa ke leT gai
raushni ki lakir si aawaz
munh andhere jaga ke chhoD gai
ek subh-e-jamal ki aawaz
din se fursat kabhi mile to suno
sham ka saz raat ki aawaz
gunjta hai abhi tarana-e-shauq
wahi aahang hai wahi aawaz
TeDhe-meDhe muDe-tuDe mukhDe
TuTi-phuTi kaTi-phaTi aawaz
baDe dukh jhil kar kamai hai
jo bhi hai ye buri-bhali aawaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.