Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir wo be-samt uDanon ki kahani sun kar

Bharat Bhushan Pant

phir wo be-samt uDanon ki kahani sun kar

Bharat Bhushan Pant

MORE BYBharat Bhushan Pant

    phir vo be-samt uḌānoñ kahānī sun kar

    so gayā peḌ parindoñ kahānī sun kar

    kyā yahī ḳhvāb tā'bīr huā kartī hai

    uḌ ga.ī niiñd bhī āñkhoñ kahānī sun kar

    aable aise kabhī phuuT ke ro.e the

    jis tarah ro.e haiñ kāñToñ kahānī sun kar

    ham vo sahrā ke musāfir haiñ abhī tak jin

    pyaas bujhtī hai sarāboñ kahānī sun kar

    dard had se guzar kar to yahī honā thā

    aañkh pathrā ga.ī ashkoñ kahānī sun kar

    kashtiyāñ lauT to aa.ī haiñ magar ik sāhil

    soch meñ Duubā hai maujoñ kahānī sun kar

    tum ne to sirf bahāroñ meñ unheñ dekhā hai

    tum bikhar jāoge phūloñ kahānī sun kar

    saare kirdār siyāne the magar jhūTe the

    log hairān the bachchoñ kahānī sun kar

    kitnā āsān thā bachpan meñ sulānā ham ko

    niiñd aa jaatī thī pariyoñ kahānī sun kar

    un ko mā'lūm thā chehroñ haqīqat kyā hai

    chup rahe aa.ine chehroñ kahānī sun kar

    phir wo be-samt uDanon ki kahani sun kar

    so gaya peD parindon ki kahani sun kar

    kya yahi KHwab ki ta'bir hua karti hai

    uD gai nind bhi aankhon ki kahani sun kar

    aable aise kabhi phuT ke na roe the

    jis tarah roe hain kanTon ki kahani sun kar

    hum wo sahra ke musafir hain abhi tak jin ki

    pyas bujhti hai sarabon ki kahani sun kar

    dard ki had se guzar kar to yahi hona tha

    aankh pathra gai ashkon ki kahani sun kar

    kashtiyan lauT to aai hain magar ek sahil

    soch mein Duba hai maujon ki kahani sun kar

    tum ne to sirf bahaaron mein unhen dekha hai

    tum bikhar jaoge phulon ki kahani sun kar

    sare kirdar siyane the magar jhuTe the

    log hairan the bachchon ki kahani sun kar

    kitna aasan tha bachpan mein sulana hum ko

    nind aa jati thi pariyon ki kahani sun kar

    un ko ma'lum tha chehron ki haqiqat kya hai

    chup rahe aaine chehron ki kahani sun kar

    Source:

    Bechehragi (Pg. 43)

    • Author: bharat bhushan pant
      • Edition: 2010
      • Publisher: Suman prakashan Alambagh,Lucknow
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now