phir zaKHmon ko dhone ka dil karta hai
phir zaḳhmoñ ko dhone kā dil kartā hai
chupke chupke rone kā dil kartā hai
jab jab bhī maiñ tujh ko dekhūñ ai dilbar
apnā sab kuchh khone kā dil kartā hai
hotī hai ġham kī yūrish jab is tan par
chādar taan ke sone kā dil kartā hai
kaale kaale bādal jhuum ke barseñ to
tujh ko sang bhigone kā dil kartā hai
rote dekhūñ jab 'santosh' kisī ko maiñ
tab merā bhī rone kā dil kartā hai
phir zaKHmon ko dhone ka dil karta hai
chupke chupke rone ka dil karta hai
jab jab bhi main tujh ko dekhun ai dilbar
apna sab kuchh khone ka dil karta hai
hoti hai gham ki yurish jab is tan par
chadar tan ke sone ka dil karta hai
kale kale baadal jhum ke barsen to
tujh ko sang bhigone ka dil karta hai
rote dekhun jab 'santosh' kisi ko main
tab mera bhi rone ka dil karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.