phira kisi ka ilahi kisi se yar na ho
phirā kisī kā ilāhī kisī se yaar na ho
koī jahān meñ bargashta-e-rozgār na ho
ham us kī chashm-e-siyah-mast ke haiñ mastāne
ye vo nashe haiñ ki jis kā kabhī utaar na ho
jahān meñ koī kahtā nahīñ ḳhudā-lagtī
vo kyā kare jise dil par bhī iḳhtiyār na ho
na phāḌe dāman-e-sahrā ko kyuuñ ki dast-e-junūñ
rahā jab apne garebāñ meñ ek taar na ho
na khel jaan par apnī tū ai dil-e-nādāñ
ḳhudā ko yaad kar itnā tū be-qarār na ho
na bhuul zohd pe lazzat se baḳhshish-e-haq kī
vo be-nasīb hai jab tak gunāhgār na ho
tumhāre sar kī qasam khā ke dard dil kā kahūñ
jo mere likhne kā yuuñ tum ko e'tibār na ho
janāb-e-shaiḳh jī sāhib maiñ ek arz karūñ
agar mizāj-e-muqaddas pe nāgavār na ho
janāb rindoñ se milte to haiñ pe Dar hai mujhe
ki dushmanoñ kā kisī din vahāñ achār na ho
bahut hai ḳhema-e-gardūñ ke phūñkne ko to 'aish'
is āh-e-tufta jigar meñ asar hazār na ho
phira kisi ka ilahi kisi se yar na ho
koi jahan mein bargashta-e-rozgar na ho
hum us ki chashm-e-siyah-mast ke hain mastane
ye wo nashe hain ki jis ka kabhi utar na ho
jahan mein koi kahta nahin KHuda-lagti
wo kya kare jise dil par bhi iKHtiyar na ho
na phaDe daman-e-sahra ko kyun ki dast-e-junun
raha jab apne gareban mein ek tar na ho
na khel jaan par apni tu ai dil-e-nadan
KHuda ko yaad kar itna tu be-qarar na ho
na bhul zohd pe lazzat se baKHshish-e-haq ki
wo be-nasib hai jab tak gunahgar na ho
tumhaare sar ki qasam kha ke dard dil ka kahun
jo mere likhne ka yun tum ko e'tibar na ho
janab-e-shaiKH ji sahib main ek arz karun
agar mizaj-e-muqaddas pe nagawar na ho
janab rindon se milte to hain pe Dar hai mujhe
ki dushmanon ka kisi din wahan achaar na ho
bahut hai KHema-e-gardun ke phunkne ko to 'aish'
is aah-e-tufta jigar mein asar hazar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.