phirengi ye khule sar dekh lena
phireñgī ye khule sar dekh lenā
murādoñ kā muqaddar dekh lenā
ise likkhūñ to kam paḌne lagegā
ye sochoñ kā samundar dekh lenā
jo raste meñ luTe un kī taraf bhī
sar-e-manzil pahuñch kar dekh lenā
badan shīshe kā banvāne se pahle
mire hāthoñ ke patthar dekh lenā
tum apnī āstīñ gar dho bhī loge
pukār uTThegā ḳhanjar dekh lenā
mirā ka.aba girāne jab bhī niklo
abābīloñ ke tevar dekh lenā
phirengi ye khule sar dekh lena
muradon ka muqaddar dekh lena
ise likkhun to kam paDne lagega
ye sochon ka samundar dekh lena
jo raste mein luTe un ki taraf bhi
sar-e-manzil pahunch kar dekh lena
badan shishe ka banwane se pahle
mere hathon ke patthar dekh lena
tum apni aastin gar dho bhi loge
pukar uTThega KHanjar dekh lena
mera kaba girane jab bhi niklo
ababilon ke tewar dekh lena
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 551)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.