phirti hai yun dua meri shama-e-asar ke aas-pas
phirti hai yun dua meri shama-e-asar ke aas-pas
Malika Afaq Zamani Begam
MORE BYMalika Afaq Zamani Begam
phirtī hai yuuñ du'ā mirī sham.a-e-asar ke ās-pās
jaise chakor ho koī shab ko qamar ke ās-pās
tirchhī nazar ke khaa.e haiñ siine pe tiir is qadar
naam ko bhī jagah nahīñ qalb-o-jigar ke ās-pās
terī nigāh uThte hī saaf the dam meñ kul pare
rahtī hai kyā qazā lagī teġh-e-nazar ke ās-pās
us ke harīm-e-nāz meñ baar mile to kyā mile
tiir nazar ke paas hai teġh kamar ke ās-pās
mujh ko milā ke ḳhaak meñ ḳhaak bhī kyā uḌāoge
karte ho dafn kis liye rāhguzar ke ās-pās
tum hī kaho vafā-parast hote haiñ bul-havas kahīñ
hote haiñ ḳhaar misl-e-ġhair har gul-e-tar ke ās-pās
mahfil-e-husn meñ vo but aatā hai yuuñ nazar alag
baiThe hoñ zohra mushtarī jaise qamar ke ās-pās
phirti hai yun du'a meri shama-e-asar ke aas-pas
jaise chakor ho koi shab ko qamar ke aas-pas
tirchhi nazar ke khae hain sine pe tir is qadar
nam ko bhi jagah nahin qalb-o-jigar ke aas-pas
teri nigah uThte hi saf the dam mein kul pare
rahti hai kya qaza lagi tegh-e-nazar ke aas-pas
us ke harim-e-naz mein bar mile to kya mile
tir nazar ke pas hai tegh kamar ke aas-pas
mujh ko mila ke KHak mein KHak bhi kya uDaoge
karte ho dafn kis liye rahguzar ke aas-pas
tum hi kaho wafa-parast hote hain bul-hawas kahin
hote hain KHar misl-e-ghair har gul-e-tar ke aas-pas
mahfil-e-husn mein wo but aata hai yun nazar alag
baiThe hon zohra mushtari jaise qamar ke aas-pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.