phisal na jae ye KHwab duniya
phisal na jaa.e ye ḳhvāb duniyā
so apnī palkoñ meñ daab duniyā
maiñ kis laqab se pukāroñ tujh ko
vo jhaT se bolā janāb duniyā
use bhī hāsil maiñ kar hī lūñgā
ho jaa.e gar dastiyāb duniyā
koī musalsal ye kah rahā hai
ḳharāb duniyā ḳharāb duniyā
savāl ye thā kī nashsha kyā hai
diyā gayā hai javāb duniyā
phisal na jae ye KHwab duniya
so apni palkon mein dab duniya
main kis laqab se pukaron tujh ko
wo jhaT se bola janab duniya
use bhi hasil main kar hi lunga
ho jae gar dastiyab duniya
koi musalsal ye kah raha hai
KHarab duniya KHarab duniya
sawal ye tha ki nashsha kya hai
diya gaya hai jawab duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.