bichhDa hai jo ek bar to milte nahin dekha
bichhḌā hai jo ik baar to milte nahīñ dekhā
is zaḳhm ko ham ne kabhī silte nahīñ dekhā
ik baar jise chaaT ga.ī dhuup kī ḳhvāhish
phir shāḳh pe us phuul ko khilte nahīñ dekhā
yak-laḳht girā hai to jaḌeñ tak nikal aa.iiñ
jis peḌ ko āñdhī meñ bhī hilte nahīñ dekhā
kāñToñ meñ ghire phuul ko chuum aa.egī lekin
titlī ke paroñ ko kabhī chhilte nahīñ dekhā
kis tarah mirī ruuh harī kar gayā āḳhir
vo zahr jise jism meñ khilte nahīñ dekhā
bichhDa hai jo ek bar to milte nahin dekha
is zaKHm ko hum ne kabhi silte nahin dekha
ek bar jise chaT gai dhup ki KHwahish
phir shaKH pe us phul ko khilte nahin dekha
yak-laKHt gira hai to jaDen tak nikal aain
jis peD ko aandhi mein bhi hilte nahin dekha
kanTon mein ghire phul ko chum aaegi lekin
titli ke paron ko kabhi chhilte nahin dekha
kis tarah meri ruh hari kar gaya aaKHir
wo zahr jise jism mein khilte nahin dekha
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(sadbarg) (Pg. 139)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.