phul agar kumhlaenge
phuul agar kumhlā.eñge
ġhunche phir khil jā.eñge
kitnī achchhī bastī hai
ham bhī ghar banvā.eñge
haath tumhārā thāmā hai
ab to saath nibhā.eñge
apnā dukh mat kahnā tum
sun kar log chiḌhā.eñge
bhīgī āñkhoñ ne pūchhā
kab tak dhuāñ uḌā.eñge
phul agar kumhlaenge
ghunche phir khil jaenge
kitni achchhi basti hai
hum bhi ghar banwaenge
hath tumhaara thama hai
ab to sath nibhaenge
apna dukh mat kahna tum
sun kar log chiDhaenge
bhigi aankhon ne puchha
kab tak dhuan uDaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.