phul barse kahin shabnam kahin gauhar barse
phuul barse kahīñ shabnam kahīñ gauhar barse
aur is dil kī taraf barse to patthar barse
koī bādal ho to tham jaa.e magar ashk mire
ek raftār se din raat barābar barse
barf ke phūloñ se raushan huī tārīk zamīñ
raat kī shāḳh se jaise mah o aḳhtar barse
pyaar kā giit añdheroñ pe ujāloñ kī phuvār
aur nafrat kī sadā shīshe pe patthar barse
bārisheñ chhat pe khulī jag.hoñ pe hotī haiñ magar
ġham vo sāvan hai jo un kamroñ ke andar barse
phul barse kahin shabnam kahin gauhar barse
aur is dil ki taraf barse to patthar barse
koi baadal ho to tham jae magar ashk mere
ek raftar se din raat barabar barse
barf ke phulon se raushan hui tarik zamin
raat ki shaKH se jaise mah o aKHtar barse
pyar ka git andheron pe ujalon ki phuwar
aur nafrat ki sada shishe pe patthar barse
barishen chhat pe khuli jaghon pe hoti hain magar
gham wo sawan hai jo un kamron ke andar barse
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.