phul iKHlas ke honTon pe sajaane wala
phuul iḳhlās ke hoñToñ pe sajāne vaalā
maiñ huuñ dushman ko bhī siine se lagāne vaalā
jā ke pardes mire ghar kā patā bhuul gayā
apnā bachpan mire āñgan meñ bitāne vaalā
us kī yādoñ ko kaleje se lagā.e rakhiye
ab na aa.egā kabhī lauT ke jaane vaalā
mere dushman tujhe mālūm nahīñ hai shāyad
mārne vaale se baḌh kar hai bachāne vaalā
kaise kartā maiñ shikāyat bhī kisī kī yaaro
merā apnā hī thā dil merā dukhāne vaalā
aise bichhḌā ki ḳhayāloñ meñ bhī aayā na 'rafīq'
kitnā ḳhuddār thā vo ruuTh ke jaane vaalā
phul iKHlas ke honTon pe sajaane wala
main hun dushman ko bhi sine se lagane wala
ja ke pardes mere ghar ka pata bhul gaya
apna bachpan mere aangan mein bitane wala
us ki yaadon ko kaleje se lagae rakhiye
ab na aaega kabhi lauT ke jaane wala
mere dushman tujhe malum nahin hai shayad
marne wale se baDh kar hai bachane wala
kaise karta main shikayat bhi kisi ki yaro
mera apna hi tha dil mera dukhane wala
aise bichhDa ki KHayalon mein bhi aaya na 'rafiq'
kitna KHuddar tha wo ruTh ke jaane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.