Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phul is KHak-dan ke hum bhi hain

Saifuddin Saif

phul is KHak-dan ke hum bhi hain

Saifuddin Saif

MORE BYSaifuddin Saif

    phuul is ḳhāk-dāñ ke ham bhī haiñ

    mudda.ī do jahāñ ke ham bhī haiñ

    bahte dhāre pe hai qayām apnā

    saath mauj-e-ravāñ ke ham bhī haiñ

    kah rahā hai sukūt-e-lāla-o-gul

    zaḳhm-ḳhurda zabāñ ke ham bhī haiñ

    duur rahte haiñ kyuuñ jahāñ vaale

    rahne vaale jahāñ ke ham bhī haiñ

    saath misl-e-ġhubār ho leñge

    muntazir kārvāñ ke ham bhī haiñ

    'saif' ye chashmakeñ ye rañg-e-bahār

    kyā isī gulsitāñ ke ham bhī haiñ

    phul is KHak-dan ke hum bhi hain

    muddai do jahan ke hum bhi hain

    bahte dhaare pe hai qayam apna

    sath mauj-e-rawan ke hum bhi hain

    kah raha hai sukut-e-lala-o-gul

    zaKHm-KHurda zaban ke hum bhi hain

    dur rahte hain kyun jahan wale

    rahne wale jahan ke hum bhi hain

    sath misl-e-ghubar ho lenge

    muntazir karwan ke hum bhi hain

    'saif' ye chashmaken ye rang-e-bahaar

    kya isi gulsitan ke hum bhi hain

    Source :
    • Book : Kham-e-Kakul (Pg. 63)
    • Author : Saifuddin Saif
    • Publication : Al-Hamd Publications, Lahore. Pakistan (2011)
    • Edition : 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now