phul ka paikar zamin
phuul kā paikar zamīñ
aur kabhī patthar zamīñ
ho rahā huuñ ḳhuun ḳhuun
hai liye ḳhanjar zamīñ
de diyā saarā lahū
phir bhī hai banjar zamīñ
rakh de motī kī jagah
haath meñ kankar zamīñ
sar ke nīche āsmāñ
paañv ke uupar zamīñ
fasl-e-gul boī huī
le ga.ī manzar zamīñ
har qadam par hai liye
ik na ik mahshar zamīñ
phaḌphaḌāhaT hai bahut
chhoḌ de shahpar zamīñ
merā bhī badlā mizāj
terā bhī tevar zamīñ
phul ka paikar zamin
aur kabhi patthar zamin
ho raha hun KHun KHun
hai liye KHanjar zamin
de diya sara lahu
phir bhi hai banjar zamin
rakh de moti ki jagah
hath mein kankar zamin
sar ke niche aasman
panw ke upar zamin
fasl-e-gul boi hui
le gai manzar zamin
har qadam par hai liye
ek na ek mahshar zamin
phaDphaDahaT hai bahut
chhoD de shahpar zamin
mera bhi badla mizaj
tera bhi tewar zamin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.