phul ka ya sang ka izhaar kar
phuul kā yā sañg kā iz.hār kar
āsmāñ aurañg kā iz.hār kar
jism ke rauzan se pahle ḳhud nikal
phir qabā-e-tañg kā iz.hār kar
phuul kī pattī pe koī zaḳhm Daal
aa.ine meñ rañg kā iz.hār kar
ābgīnoñ meñ siyāhī bhar ke chal
dostī meñ jañg kā iz.hār kar
dhuul se anfās ke paikar tarāsh
ḳhushbuoñ meñ rañg kā iz.hār kar
paḌh rahā thā maiñ qasīda naam kā
koī bolā nañg kā iz.hār kar
kaun kitnā aadmī hai ye batā
aah meñ āhañg kā iz.hār kar
phul ka ya sang ka izhaar kar
aasman aurang ka izhaar kar
jism ke rauzan se pahle KHud nikal
phir qaba-e-tang ka izhaar kar
phul ki patti pe koi zaKHm Dal
aaine mein rang ka izhaar kar
aabginon mein siyahi bhar ke chal
dosti mein jang ka izhaar kar
dhul se anfas ke paikar tarash
KHushbuon mein rang ka izhaar kar
paDh raha tha main qasida nam ka
koi bola nang ka izhaar kar
kaun kitna aadmi hai ye bata
aah mein aahang ka izhaar kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.