phul kaliyan bhi hum bichhaenge
phuul kaliyāñ bhī ham bichhā.eñge
dil kī dhartī ko yuuñ sajā.eñge
hijr kāTeñge aur ḳhushī ke saath
ek do yaar bhī banā.eñge
pyaar aafat hai is zamāne meñ
har na.e shaḳhs ko batā.eñge
minnateñ baad meñ kareñge tirī
pahle thoḌā sā haq jatā.eñge
apne hāthoñ meñ sabz parcham hai
amn ke giit gungunā.eñge
bosa leñge tirī jabīñ kā ham
rūThne par tujhe manāeñge
phul kaliyan bhi hum bichhaenge
dil ki dharti ko yun sajaenge
hijr kaTenge aur KHushi ke sath
ek do yar bhi banaenge
pyar aafat hai is zamane mein
har nae shaKHs ko bataenge
minnaten baad mein karenge teri
pahle thoDa sa haq jataenge
apne hathon mein sabz parcham hai
amn ke git gungunaenge
bosa lenge teri jabin ka hum
ruThne par tujhe manaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.