phul khilte the kahani se meri
phuul khilte the kahānī se mirī
jal ga.e sho.ala-fishānī se mirī
apnī pahchān ko qaa.em karne
chal ga.ī lafz-o-ma.ānī se mirī
tez-rau zo.am-e-suḳhan kā dariyā
Thahr jaatā hai ravānī se mirī
merī tahrīroñ ke ā.īnoñ ko
hai gila sāf-bayānī se mirī
ganj-e-maḳhfī kā nishāñ miltā hai
ek ik ġham ko nishānī se mirī
kal thī vābasta na ab hai 'vasfī'
chashm-e-dil arsa-e-fānī se mirī
phul khilte the kahani se meri
jal gae shoala-fishani se meri
apni pahchan ko qaem karne
chal gai lafz-o-maani se meri
tez-rau zoam-e-suKHan ka dariya
Thahr jata hai rawani se meri
meri tahriron ke aainon ko
hai gila saf-bayani se meri
ganj-e-maKHfi ka nishan milta hai
ek ek gham ko nishani se meri
kal thi wabasta na ab hai 'wasfi'
chashm-e-dil arsa-e-fani se meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.