phul KHushbu un pe uDti titliyon ki KHair ho
phuul ḳhushbū un pe uḌtī titliyoñ kī ḳhair ho
sab ke āñgan meñ chahaktī beTiyoñ kī ḳhair ho
jitne mīThe lahje haiñ sab giit hoñge ek din
mīThe lahjoñ se mahaktī boliyoñ kī ḳhair ho
chunriyoñ meñ ḳhvāb le kar chal paḌī haiñ beTiyāñ
in parā.e des jaatī Doliyoñ kī ḳhair ho
bārishoñ ke shor meñ kyuuñ jāgte haiñ dard bhī
sehn-e-jāñ meñ raqs kartī badliyoñ kī ḳhair ho
raḳht-e-dil ko thaam kar vo aa ga.ī haiñ ret par
ḳhvāhishoñ kī ḳhair ho un pagliyoñ kī ḳhair ho
ab kabūtar fāḳhtā.eñ jā chukī haiñ gaañv se
ai ḳhudāvand peḌ kī aur bastiyoñ kī ḳhair ho
raat hai 'bābar' khaḌī sailāb kā bhī zor hai
sāhiloñ kī māñjhiyoñ kī kashtiyoñ kī ḳhair ho
phul KHushbu un pe uDti titliyon ki KHair ho
sab ke aangan mein chahakti beTiyon ki KHair ho
jitne miThe lahje hain sab git honge ek din
miThe lahjon se mahakti boliyon ki KHair ho
chunriyon mein KHwab le kar chal paDi hain beTiyan
in parae des jati Doliyon ki KHair ho
barishon ke shor mein kyun jagte hain dard bhi
sehn-e-jaan mein raqs karti badliyon ki KHair ho
raKHt-e-dil ko tham kar wo aa gai hain ret par
KHwahishon ki KHair ho un pagliyon ki KHair ho
ab kabutar faKHtaen ja chuki hain ganw se
ai KHudawand peD ki aur bastiyon ki KHair ho
raat hai 'babar' khaDi sailab ka bhi zor hai
sahilon ki manjhiyon ki kashtiyon ki KHair ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.