phul ko Khaar mat kijiye
phuul ko ḳhaar mat kījiye
raah dushvār mat kījiye
ġhairat-e-ishq kahtī rahī
ġham kā iz.hār mat kījiye
maiñ na ho jā.ūñ pāgal kahīñ
is qadar pyaar mat kījiye
bhaa.ī aapas meñ baT jā.eñge
ghar meñ dīvār mat kījiye
dil meñ gar ġhair kī baat hai
ham se iz.hār mat kījiye
lauT kar vaqt aatā nahīñ
vaqt be-kār mat kījiye
dil ke zaḳhmoñ kā shikva nahīñ
piiTh par vaar mat kījiye
baa'd muddat ke aa.e haiñ vo
aaj takrār mat kījiye
ho jo īmāñ kā dushman 'sirāj'
aisā byopār mat kījiye
phul ko KHar mat kijiye
rah dushwar mat kijiye
ghairat-e-ishq kahti rahi
gham ka izhaar mat kijiye
main na ho jaun pagal kahin
is qadar pyar mat kijiye
bhai aapas mein baT jaenge
ghar mein diwar mat kijiye
dil mein gar ghair ki baat hai
hum se izhaar mat kijiye
lauT kar waqt aata nahin
waqt be-kar mat kijiye
dil ke zaKHmon ka shikwa nahin
piTh par war mat kijiye
ba'd muddat ke aae hain wo
aaj takrar mat kijiye
ho jo iman ka dushman 'siraj'
aisa byopar mat kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.