phul kuchle ja rahe the baghban chiKHa kiya
phul kuchle ja rahe the baghban chiKHa kiya
Zohheb Farooqui Afrang
MORE BYZohheb Farooqui Afrang
phuul kuchle jā rahe the bāġhbāñ chīḳhā kiyā
ye zamīñ rotī rahī vo āsmāñ chīḳhā kiyā
jo makāñ vaale the saare be-ḳhabar sote rahe
raat bhar saḌkoñ pe koī be-makāñ chīḳhā kiyā
jitne zinda log the sab laash ban kar rah ga.e
jab madad ke vāste ik nīm-jāñ chīḳhā kiyā
jānte the ham bhaTak kar hī mileñgī manzileñ
apne hī raste chale phir rāh-dāñ chīḳhā kiyā
zāhiran ham donoñ us kī jaan ke dushman hue
vo jo rishta tere mere darmiyāñ chīḳhā kiyā
jab uThā.ī jaanī thī āvāz zālim ke ḳhilāf
chup rahe ahl-e-zabāñ ik be-zabāñ chīḳhā kiyā
lamha-e-hijrāñ guzarne baad ye aalam rahā
vo kahīñ rotā rahā aur maiñ yahāñ chīḳhā kiyā
ye huā phir baañT lī yāroñ ne saarī kā.enāt
aur maiñ tanhā pas-e-sūd-o-ziyāñ chīḳhā kiyā
tum ko to 'afrañg' aanā hī nahīñ thā lauT kar
maiñ tumhārā naam le kar rā.egāñ chīḳhā kiyā
phul kuchle ja rahe the baghban chiKHa kiya
ye zamin roti rahi wo aasman chiKHa kiya
jo makan wale the sare be-KHabar sote rahe
raat bhar saDkon pe koi be-makan chiKHa kiya
jitne zinda log the sab lash ban kar rah gae
jab madad ke waste ek nim-jaan chiKHa kiya
jaante the hum bhaTak kar hi milengi manzilen
apne hi raste chale phir rah-dan chiKHa kiya
zahiran hum donon us ki jaan ke dushman hue
wo jo rishta tere mere darmiyan chiKHa kiya
jab uThai jaani thi aawaz zalim ke KHilaf
chup rahe ahl-e-zaban ek be-zaban chiKHa kiya
lamha-e-hijran guzarne baad ye aalam raha
wo kahin rota raha aur main yahan chiKHa kiya
ye hua phir banT li yaron ne sari kaenat
aur main tanha pas-e-sud-o-ziyan chiKHa kiya
tum ko to 'afrang' aana hi nahin tha lauT kar
main tumhaara nam le kar raegan chiKHa kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.