phul rishton ke mohabbat ke chaman chhoD gae
phuul rishtoñ ke mohabbat ke chaman chhoḌ ga.e
kitne majbūr the jo apnā vatan chhoḌ ga.e
ab tabassum ke liye ham ko tarasnā hogā
hādse vaqt ke māthe pe shikan chhoḌ ga.e
aane vāloñ ke liye raat qayāmat hogī
kārvāñ shaam ke dāman meñ thakan chhoḌ ga.e
mere virse meñ na daulat hai na jāgīr koī
mere ajdād zamāne meñ chalan chhoḌ ga.e
merī hassās tabī'at kā asar hai 'zarrīñ'
phuul kāñTe to na the phir bhī chubhan chhoḌ ga.e
phul rishton ke mohabbat ke chaman chhoD gae
kitne majbur the jo apna watan chhoD gae
ab tabassum ke liye hum ko tarasna hoga
hadse waqt ke mathe pe shikan chhoD gae
aane walon ke liye raat qayamat hogi
karwan sham ke daman mein thakan chhoD gae
mere wirse mein na daulat hai na jagir koi
mere ajdad zamane mein chalan chhoD gae
meri hassas tabi'at ka asar hai 'zarrin'
phul kanTe to na the phir bhi chubhan chhoD gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.