phul sa ek khila hai aankhon mein
phuul sā ik khilā hai āñkhoñ meñ
kis kā chehra basā hai āñkhoñ meñ
tum ko aañsū nazar nahīñ aatā
yaañ samundar chhupā hai āñkhoñ meñ
aa ke chehre pe jam gayā aañsū
ban ke motī rahā hai āñkhoñ meñ
us ko dekhā to yuuñ huā mahsūs
ik chaman bhar liyā hai āñkhoñ meñ
niiñd yuuñ uḌ ga.ī ki lagtā hai
koī kāñTā chubhā hai āñkhoñ meñ
phul sa ek khila hai aankhon mein
kis ka chehra basa hai aankhon mein
tum ko aansu nazar nahin aata
yan samundar chhupa hai aankhon mein
aa ke chehre pe jam gaya aansu
ban ke moti raha hai aankhon mein
us ko dekha to yun hua mahsus
ek chaman bhar liya hai aankhon mein
nind yun uD gai ki lagta hai
koi kanTa chubha hai aankhon mein
- Book : Khushboo Rang Sada ke Sang (Pg. 9)
- Author : Dr. Preem Bhandari
- Publication : Westzone Culture Center Udaipur (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.