phul sa jism na raste mein jalaya kijiye
phuul sā jism na raste meñ jalāyā kījiye
maiñ sanobar huuñ mirī chhāñv meñ aayā kījiye
aur kyā chāhiye is daur ke insānoñ ko
sirf do chaar ghaḌī saath bitāyā kījiye
aap sāgar haiñ to sairāb kareñ pyāse ko
aap bādal haiñ to mujh dasht pe saayā kījiye
aap se nuur kī ḳhairāt talab karte haiñ
ban ke ḳhurshīd na phūloñ ko jalāyā kījiye
kam se kam dekh sakūñ apnī haqīqat kyā hai
merī āñkhoñ se na ā.īna chhupāyā kījiye
phul sa jism na raste mein jalaya kijiye
main sanobar hun meri chhanw mein aaya kijiye
aur kya chahiye is daur ke insanon ko
sirf do chaar ghaDi sath bitaya kijiye
aap sagar hain to sairab karen pyase ko
aap baadal hain to mujh dasht pe saya kijiye
aap se nur ki KHairaat talab karte hain
ban ke KHurshid na phulon ko jalaya kijiye
kam se kam dekh sakun apni haqiqat kya hai
meri aankhon se na aaina chhupaya kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.