phul sahra mein khila de koi
phuul sahrā meñ khilā de koī
maiñ akelā huuñ sadā de koī
koī sannāTā sā sannāTā hai
kaash tūfān uThā de koī
jis ne chāhā thā mujhe pahle-pahal
us sitamgar kā pata de koī
jis se TuuTe mirā pindār-e-vafā
mujh ko aisī bhī sazā de koī
raat sotī hai to maiñ jāgtā huuñ
us ko jā kar ye batā de koī
jo mere paas bhī hai duur bhī hai
kis tarah us ko bhulā de koī
ishq ke rañg liye phirtā huuñ
us kī tasvīr banā de koī
dil ke ḳhirman meñ nihāñ haiñ sho.ale
apne dāman kī havā de koī
phuul phir zaḳhm bane haiñ 'nāsir'
phir ḳhizāoñ ko duā de koī
phul sahra mein khila de koi
main akela hun sada de koi
koi sannaTa sa sannaTa hai
kash tufan uTha de koi
jis ne chaha tha mujhe pahle-pahal
us sitamgar ka pata de koi
jis se TuTe mera pindar-e-wafa
mujh ko aisi bhi saza de koi
raat soti hai to main jagta hun
us ko ja kar ye bata de koi
jo mere pas bhi hai dur bhi hai
kis tarah us ko bhula de koi
ishq ke rang liye phirta hun
us ki taswir bana de koi
dil ke KHirman mein nihan hain shoale
apne daman ki hawa de koi
phul phir zaKHm bane hain 'nasir'
phir KHizaon ko dua de koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.