phul soe hue the chhati par
phuul so.e hue the chhātī par
raat kitnā mahak rahā thā ghar
ashk sairāb haiñ lahū pī kar
aur pyāsā hai bhaa.ī kā ḳhanjar
piiTh kāñToñ se ho ga.ī chhalnī
hausla thā uThā diyā bistar
dil-rubā naam hai kahānī kā
ḳhuuñ chashīda hai ek ik manzar
muñh añdhere hī jāgnā hai tujhe
mere zaḳhmoñ pe apne kaan na dhar
phul soe hue the chhati par
raat kitna mahak raha tha ghar
ashk sairab hain lahu pi kar
aur pyasa hai bhai ka KHanjar
piTh kanTon se ho gai chhalni
hausla tha uTha diya bistar
dil-ruba nam hai kahani ka
KHun chashida hai ek ek manzar
munh andhere hi jagna hai tujhe
mere zaKHmon pe apne kan na dhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.