phul to phul hain kanTon pe nazar hai meri
phuul to phuul haiñ kāñToñ pe nazar hai merī
ek muddat se bahāroñ pe nazar hai merī
aks-dar-aks nazāroñ pe nazar hai merī
Dūbte chāñd sitāroñ pe nazar hai merī
dekhnā ye thā mujhe kaun sahārā degā
tum ne samjhā ki sahāroñ pe nazar hai merī
kyā bharosa hai charāġhoñ kā jaleñ yā na jaleñ
jhilmilāte hue tāroñ pe nazar hai merī
sar-phirī tez havāoñ kā mujhe kyā Dar hai
bādbāñ tere ishāroñ pe nazar hai merī
barg-o-gul shāḳh-o-samar ho ga.e mahfūz 'niyāz'
baaġh meñ jab se sharāroñ pe nazar hai merī
phul to phul hain kanTon pe nazar hai meri
ek muddat se bahaaron pe nazar hai meri
aks-dar-aks nazaron pe nazar hai meri
Dubte chand sitaron pe nazar hai meri
dekhna ye tha mujhe kaun sahaara dega
tum ne samjha ki sahaaron pe nazar hai meri
kya bharosa hai charaghon ka jalen ya na jalen
jhilmilate hue taron pe nazar hai meri
sar-phiri tez hawaon ka mujhe kya Dar hai
baadban tere ishaaron pe nazar hai meri
barg-o-gul shaKH-o-samar ho gae mahfuz 'niyaz'
bagh mein jab se shararon pe nazar hai meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.