phulon ka KHayal aae to lagta hai ki tum ho
phūloñ kā ḳhayāl aa.e to lagtā hai ki tum ho
tāroñ pe nazar jaa.e to lagtā hai ki tum ho
ghanghor ghaTāoñ ke jhameloñ meñ achānak
bijlī koī lahrā.e to lagtā hai ki tum ho
mamtā kī hasīñ baañh meñ soyā huā ma.asūm
ḳhvāboñ meñ jo muskā.e to lagtā hai ki tum ho
chalte hue sunsān sī rāhoñ meñ akele
pattā bhī khaḌak jaa.e to lagtā hai ki tum ho
vo dhun hai tumhārī ki zamāne meñ kahīñ bhī
paa.el koī chhankā.e to lagtā hai ki tum ho
phulon ka KHayal aae to lagta hai ki tum ho
taron pe nazar jae to lagta hai ki tum ho
ghanghor ghaTaon ke jhamelon mein achanak
bijli koi lahrae to lagta hai ki tum ho
mamta ki hasin banh mein soya hua masum
KHwabon mein jo muskae to lagta hai ki tum ho
chalte hue sunsan si rahon mein akele
patta bhi khaDak jae to lagta hai ki tum ho
wo dhun hai tumhaari ki zamane mein kahin bhi
pael koi chhankae to lagta hai ki tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.