phulon mein agar hai bu tumhaari
phūloñ meñ agar hai bū tumhārī
kāñToñ meñ bhī hogī ḳhū tumhārī
us dil pe hazār jaan sadqe
jis dil meñ hai aarzū tumhārī
do din meñ gulū bahār kyā kī
rañgat vo rahī na bū tumhārī
chaTkā jo chaman meñ ġhuncha-e-gul
bū de ga.ī guftugū tumhārī
mushtāq se duur bhāgtī hai
itnī hai ajal meñ ḳhū tumhārī
gardish se hai mahr-o-mah ke sābit
un ko bhī hai justujū tumhārī
āñkhoñ se kaho kamī na karnā
ashkoñ se hai aabrū tumhārī
lo sard huā maiñ nīm-bismil
puurī huī aarzū tumhārī
sab kahte haiñ jis ko lailatul-qadr
hai kākul-e-mushk-bū tumhārī
tanhā na phiro 'amīr' shab ko
hai ghaat meñ har adū tumhārī
phulon mein agar hai bu tumhaari
kanTon mein bhi hogi KHu tumhaari
us dil pe hazar jaan sadqe
jis dil mein hai aarzu tumhaari
do din mein gulu bahaar kya ki
rangat wo rahi na bu tumhaari
chaTka jo chaman mein ghuncha-e-gul
bu de gai guftugu tumhaari
mushtaq se dur bhagti hai
itni hai ajal mein KHu tumhaari
gardish se hai mahr-o-mah ke sabit
un ko bhi hai justuju tumhaari
aankhon se kaho kami na karna
ashkon se hai aabru tumhaari
lo sard hua main nim-bismil
puri hui aarzu tumhaari
sab kahte hain jis ko lailatul-qadr
hai kakul-e-mushk-bu tumhaari
tanha na phiro 'amir' shab ko
hai ghat mein har adu tumhaari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.