phunk de hai munh tera har saf-dil ke tan mein aag
phūñk de hai muñh tirā har sāf-dil ke tan meñ aag
sāmne ḳhurshīd ke lagtī hai jo darpan meñ aag
tujh se ai bulbul ziyāda gul meñ hai tāsīr-e-ishq
dil meñ ḳhuuñ lab par hañsī hai us ke pairāhan meñ aag
ahl-e-zar sāz-e-ra.ūnat se hoveñge dozaḳhī
Dālte haiñ sham.a kī avval rag-e-gardan meñ aag
kohkan laala se ḳhuuñ terā hai joshāñ ba.ad saal
be-sutūñ ke dekh daa.em hai bharī dāman meñ aag
soz-e-hijr-e-kānhā se jo sāñvlā thā 'uzlat' aah
dāġhdār āḳhir lagī Tesū ke bindrāban meñ aag
phunk de hai munh tera har saf-dil ke tan mein aag
samne KHurshid ke lagti hai jo darpan mein aag
tujh se ai bulbul ziyaada gul mein hai tasir-e-ishq
dil mein KHun lab par hansi hai us ke pairahan mein aag
ahl-e-zar saz-e-raunat se howenge dozaKHi
Dalte hain shama ki awwal rag-e-gardan mein aag
kohkan lala se KHun tera hai joshan baad sal
be-sutun ke dekh daem hai bhari daman mein aag
soz-e-hijr-e-kanha se jo sanwla tha 'uzlat' aah
daghdar aaKHir lagi Tesu ke bindraban mein aag
- Deewan-e-uzlat(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.