phunk denge mere andar ke ujale mujhko
phūñk deñge mire andar ke ujāle mujh ko
kaash dushman mirā qindīl banā le mujh ko
ek saaya huuñ maiñ hālāt kī dīvār meñ qaid
koī sūraj kī kiran aa ke nikāle mujh ko
apnī hastī kā kuchh ehsās to ho jaa.e mujhe
aur nahīñ kuchh to koī maar hī Daale mujh ko
maiñ samundar huuñ kahīñ Duub na jā.ūñ ḳhud meñ
ab koī mauj kināre pe uchhāle mujh ko
tishnagī merī musallam hai magar jaane kyuuñ
log de dete haiñ TuuTe hue pyāle mujh ko
phunk denge mere andar ke ujale mujh ko
kash dushman mera qindil bana le mujh ko
ek saya hun main haalat ki diwar mein qaid
koi suraj ki kiran aa ke nikale mujh ko
apni hasti ka kuchh ehsas to ho jae mujhe
aur nahin kuchh to koi mar hi Dale mujh ko
main samundar hun kahin Dub na jaun KHud mein
ab koi mauj kinare pe uchhaale mujh ko
tishnagi meri musallam hai magar jaane kyun
log de dete hain TuTe hue pyale mujh ko
- Book : Goonj (Pg. 99)
- Author : Aziz Bano Darab Wafa
- Publication : Educational Book House, Aligarah (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.