phuTe man se bol, laga ye zinda hun main
phūTe man se bol, lagā ye zinda huuñ maiñ
ab mujh ko ehsās huā ye zinda huuñ maiñ
yaaro mere naam pe ronā band karo tum
duur haTāo ab majma.a ye zinda huuñ maiñ
āñkheñ mal mal kar dekhā qātil ne mujh ko
sach niklā us kā ḳhadsha ye zinda huuñ maiñ
maiñ tasdīq karūñgā tere garm lahhū kī
tū bhī mujh ko yaad dilā ye zinda huuñ maiñ
mujh par merī zaat udhār hai lekin 'saurabh'
chuktā kar dūñgā qarza ye, zinda huuñ maiñ
phuTe man se bol, laga ye zinda hun main
ab mujh ko ehsas hua ye zinda hun main
yaro mere nam pe rona band karo tum
dur haTao ab majma ye zinda hun main
aankhen mal mal kar dekha qatil ne mujh ko
sach nikla us ka KHadsha ye zinda hun main
main tasdiq karunga tere garm lahhu ki
tu bhi mujh ko yaad dila ye zinda hun main
mujh par meri zat udhaar hai lekin 'saurabh'
chukta kar dunga qarza ye, zinda hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.