pichhli shab KHwab mohabbat ka dikhaya gaya tha
pichhlī shab ḳhvāb mohabbat kā dikhāyā gayā thā
sub.h maiñ peḌ se laTkā huā paayā gayā thā
un pe zāhir thā mirā ishq-e-husainī tabhī to
tapte sahrā meñ mujhe dhoke se laayā gayā thā
ek bahre ko sunāyā gayā farmān-e-tarab
ek andhe ko ishāre se bulāyā gayā thā
us hathelī pe ugaa.e ga.e zaḳhmoñ ke gulāb
jis hathelī pe nayā ḳhvāb sajāyā gayā thā
pahle sūraj kiyā kartā thā zamīñ kī gardish
phir zamīñ ko bhī usī tarah ghumāyā gayā thā
dekhne vaalā thā manzar vo khulī āñkhoñ se
jab maiñ zanjīr-ba-kaf shahr meñ laayā gayā thā
pichhli shab KHwab mohabbat ka dikhaya gaya tha
subh main peD se laTka hua paya gaya tha
un pe zahir tha mera ishq-e-husaini tabhi to
tapte sahra mein mujhe dhoke se laya gaya tha
ek bahre ko sunaya gaya farman-e-tarab
ek andhe ko ishaare se bulaya gaya tha
us hatheli pe ugae gae zaKHmon ke gulab
jis hatheli pe naya KHwab sajaya gaya tha
pahle suraj kiya karta tha zamin ki gardish
phir zamin ko bhi usi tarah ghumaya gaya tha
dekhne wala tha manzar wo khuli aankhon se
jab main zanjir-ba-kaf shahr mein laya gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.