pi kar sharab-e-shauq kun behosh ho behosh ho
pī kar sharāb-e-shauq kuuñ behosh ho behosh ho
jiyūñ ġhuncha lab kuuñ band kar ḳhāmosh ho ḳhāmosh ho
ho āshiq-e-ḳhūnīñ-jigar jiyūñ laala is gulzār meñ
khā dil pe dāġh-e-āshiqī gul-posh ho gul-posh ho
tujh kuuñ agar hai aarzū us ḳhush-adā ke vasl kī
ai dil sarāpā shauq meñ āġhosh ho āġhosh ho
umDā hai dariyā dard kā yā-rab mujhe rusvā na kar
aayā hai josh us deg kuuñ sar-posh ho sar-posh ho
majlis meñ ġham kī ai 'sirāj' ab vaqt aayā daur kā
gar ḳhūn-e-dil maujūd hai mai-nosh ho mai-nosh ho
pi kar sharab-e-shauq kun behosh ho behosh ho
jiyun ghuncha lab kun band kar KHamosh ho KHamosh ho
ho aashiq-e-KHunin-jigar jiyun lala is gulzar mein
kha dil pe dagh-e-ashiqi gul-posh ho gul-posh ho
tujh kun agar hai aarzu us KHush-ada ke wasl ki
ai dil sarapa shauq mein aaghosh ho aaghosh ho
umDa hai dariya dard ka ya-rab mujhe ruswa na kar
aaya hai josh us deg kun sar-posh ho sar-posh ho
majlis mein gham ki ai 'siraj' ab waqt aaya daur ka
gar KHun-e-dil maujud hai mai-nosh ho mai-nosh ho
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 538)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.